Sunday, March 30, 2014

ashk

Likhne ka shouk to kabhi na tha mujhe
Bus mere ashk hi lafzo ko batorte rahe
Or jo dikha duniya ko to mai shayar tha
Mere ashkon ko wo mera hunar mante rahe

Saturday, March 15, 2014

rangeen diware

Andhere kamre mai jhaakti , rangeen si dikhti wo rangeen diware
Jaise thak si gayi ho duniya ki najron se , rangeen si dikhti wo rangeen diware
Jaise khud mai hi kho jane ko raah dhudti ho , rangeen si dikhti wo rangeen diware
Jaise Khule aasma ki chawo se khojti wo andhere galiyare
Kya wakeyi hongi rangeen , rangeen si dikhti ye rangeen diware
Andhere kamre mai jhaakti ,rangeen si dikhti wo rangeen diware

Tairne ka shauk nahi

Tairne ka shouk nahi hame e bekhabar 
Bus uski nigaho mai dubne se aaj bhi darte hai.

Yu khule aam

Yu khule aam na poocha karo unka naam
To kya hua wo wafa adayi na kar sake
Par ajj bhi hum unko tawajjon diya karte hai