Sunday, June 14, 2020

#2020 Samachar 4 panktiyo mai.

Insaan Jo chand par jhande gaad raha tha kal, Dhara-shahi hai, Jane kub aa jaye wo akhiri pal, Ek dost jo Vikhyat tha aasmano mai, Abb Aghyaat hai kahi, Sabak wahi purana hai seekhne ko, Ajj ko jeelo muskurake, Kisko pata, Ajj hain yaha kal nahi.

Saturday, July 22, 2017

Tafdeesh barabar ho

Tafdeesh barabar ho, Is baat ka khayaal rakhiye,
Bus apki nazar ho, Baki sab nasha darkinaar rakhiye,
Raza ho, To nacheez ke liye ishara kafi hai,
Jo ek dafa waqt nikla, To Zindgi bhar phir dil mai simetkar apni muraad rakhiye.



Mazhab-e-Ishq

Aksar, Ishk se uska mazhab puchte rahe wo
Abb ye ishq ki nadaani hi to hai,
Mazhab kya hota hai, bus yahi baar-baar puchta raha wo

EK AZAAD PANCHI

Jo inkaar kare usse cheen kar hasil karo,
Jo maan jaye usse pyar ka sauda karo,
Kya kaum kya mazhab, Na mane to har ek ko zami me mila kar lo,
Aurat ho koi KHAREEDI HUI CHEEZ nahi,
Insaniyat se na mile HAK, insan ki tarah jeene ka,
To phir inquilaab ki aag se in mazhabo ko jalakar lo..

Jaane kya to badla hai, Abb pehle jaisi baat nahi hai.

Wakt Bahut hai soch kar, Sabre kar baithe the,
Ki abb lagta hai, Siyayi wo rangeen wali khatm ho chali hai,
Wo khidki bhi abb nazar nahi ati in band deewaro mai,
Jisse dikhta tha neela asma or chehakte panchi,
Hawa bhi kuch badli si lagti hai,
Kuch kehti hi nahi hai, Na hi muje jeene ka aihsaas deti hai,
Dhoop ki chubhan bhi, Abb kuch khas yaad nahi hai,
Jaane kya to badla hai, Abb pehle jaisi baat nahi hai.

Sunday, January 10, 2016

Jaat ka dhol peeto

Insaniyat ke naam pe chaar kandhe bhi na milenge dost,
Tum katil hi kyo na ho, jaat ka dhol peeto karwa sath hoga.

Sunday, September 06, 2015

Teacher's Day Special.

तुमको सूचित हो,
 एक बीज  जो माटी  की  गोद  मै  तुमने संजोया था कभी,
वो अब अंकुरित हो चला है |
तुमने जिसे अपने स्नेह की खाद दी, जिसे तुमने अपनी डाँट से दिशा दी,
वो अब अंकुरित हो चला है |
तुम्हे अभिमान हो,
की उन्ही नन्ही आँखों से, आज वो आकाश की उंचाईयों को टटोल रहा है |
तुम्हारे विशवास को अपनी सफलताओं के परचम से तौल रहा है |
ये  तुम्हारे ही ज्ञान का पृकाश  है उसमे, जो सूरज सा है विश्र्व को रौशन किये हुए |
इसलीए इस शिक्षक दिवस के अवसर पर है वह तुम्हारे चरणो मे नतमस्तक किये हुए |


Tumko Suchit ho, Ek beej jo mati ki godh mai tumne sanjoya tha kabhi,
Wo abb ankurit ho chala hai
Tumne jise apne sneh ki khaad di, Jise tumne apni daant se disha di
wo abb ankurit ho chala hai
Tumhe abhimaan ho,
ki unhi nanhi ankho se, ajj wo akash ki unchayiyo ko tatol raha hai.
tumhare vishvaas ko apni safaltayo ke parcham se taul raha hai.
Ye tumhara hi gyan ka prakash hai usme, jo suraj sa hai visv ko roushan kiye hue.
Isliliye is shikchak diwas ke avsar par hai veh tumhare charno mai natmastak kiye hue.



Saturday, August 29, 2015

Rakhi-Special

Rakhi ke mol ko kya chukaunga mai behen
Tere pyaar ko kya toul paunga mai behen
Mera ladna sirf tujhe apna ahsaas dilana tha
Ladne ke bahane,  mujhe tujhpe apna haq jo jatana tha
Par mujhpe tera haq mai tujhe ajj zindgi bhar ka deta hoon
Or is dhage ke barabar to kuch nahi mere paas
Par teri aan ki surakha ko mai ajj  tujhe bachan daan deta hoon


Sunday, June 07, 2015

Mazhab

Zahreele saanp or Mazhab ki jhooti samajh ki taaseer ek hoti hai
Ek marta hai insaan aag deta hai, to dooja marta hai insaniyat aag deta hai.

Friday, December 12, 2014

Abke bEHKA tO Kya BehKA..............ABKE beEhKA to KyA BEHka

"Abke bahka to kya bahka" - "Abke bahka to kya bahka ",,,,,,jaane yeh kya uska asar hai.
"Ab to meh ka" - "Ab to meh ka" jaam bhi pheeka,,,,,,jaane yeh kaisa uska zehar hai.
zehar...........
"zehar zamane kaa" - "zehar zamane kaa",,,,,maarta hai ek bar or phana karta hai.
"Par yeh kaisa uska asar" - "Par yeh kaisa uska asar" marta hai baar baar zinda karta hai.

"Bus mamla itna hi hota to basar kar bhi lete.
Na hota deedaar pehar do pehar to sabar kar bhi lete" -
"Bus mamla itna hi hota to basar kar bhi lete.
Na hota deedaar pehar do pehar to sabar kar bhi lete".

"Un jhooki palkon ka kya hai israar tha yeh wahi jaane" -
"Un jhooki palkon ka kya hai israar tha yeh wahi jaane".

Jo jhaank lete ek baar to shayad izhaar kar bhi dete.

Friday, June 20, 2014

ISHQ-E-VATAN

JO ishq-e-vatan na hua to jawani kis kaam ki
JO LAHU na khaule tauheen-e-vatan par
TO beh jane do nadiya us Lahu bekaam ki

Sunday, March 30, 2014

ashk

Likhne ka shouk to kabhi na tha mujhe
Bus mere ashk hi lafzo ko batorte rahe
Or jo dikha duniya ko to mai shayar tha
Mere ashkon ko wo mera hunar mante rahe

Saturday, March 15, 2014

rangeen diware

Andhere kamre mai jhaakti , rangeen si dikhti wo rangeen diware
Jaise thak si gayi ho duniya ki najron se , rangeen si dikhti wo rangeen diware
Jaise khud mai hi kho jane ko raah dhudti ho , rangeen si dikhti wo rangeen diware
Jaise Khule aasma ki chawo se khojti wo andhere galiyare
Kya wakeyi hongi rangeen , rangeen si dikhti ye rangeen diware
Andhere kamre mai jhaakti ,rangeen si dikhti wo rangeen diware

Tairne ka shauk nahi

Tairne ka shouk nahi hame e bekhabar 
Bus uski nigaho mai dubne se aaj bhi darte hai.

Yu khule aam

Yu khule aam na poocha karo unka naam
To kya hua wo wafa adayi na kar sake
Par ajj bhi hum unko tawajjon diya karte hai

Wednesday, February 19, 2014

Contradicting the definations of Ishk-Wishk

Ishk ek-dooje ke sath rehte kuch sikhaye na sikhaye  ai-rakib
Par bichadte hi azad pancchi sa ehsaas dila deta hai.

Saturday, January 25, 2014

Bewajaah(revised)

kabhi kabhi bewajaah behisaab likhne ko dil karta hai
jaani pehchaani raho pe anjano sa chalne ko dil karta hai
bheedh mai bhi bepanaah tanaah rehne ko dil karta hai
saare aakash ko ankho mai bharne ko dil karta hai
jin raho pe chal rahe ho unse bhi aage nikale ko dil karta hai
saari duniya ko nazarandaaz karne ko dil karta hai
har kisi ki aankho se ojhal hone ko dil karta hai
duniya ki har tehzeeb se pare chalne ko dil karta hai
tab parwat ki unchaai ,sagar ki gehraai sab kam  lagte hai
tab sat samamdaar ki doori bhi pal bhar ka safar lagta hai
man bhi bandhe dhaage sa thehar jata hai
tab bus shabdo ki gehrai hi sabse gehri lagti hai 
tab na shabdo mai wajah hoti hai na likhne ki shailee ka koi hisaab
bus  bewajah behisaab likhne ko dil karta ha.

Ishq

Bin parkhe hi ishq ko bimari samajh baithe the,
Par jab kiya, to bus tabahi dekh lee.

Monday, October 14, 2013

Do pal

Do pal bhi bahut hote hai khud ko samjhne ke liye
Bus kabhi kabhi zindgi kam pad jati hai, In do palon ko batorne ke liye

Friday, September 13, 2013

BEWAJAH (either this is one of the best or worst i ever wriitten)

kabhi kabhi bewajah behisaab likhne ko dil karta hai
jaani pehchaani raho pe anjano sa chalne ko dil karta hai
bheedh mai bhi bepanah tanaah rehne ko dil karta hai
saare aakash ko ankho mai bharne ko dil karta hai
jin raho pe chal rahe ho unse bhi aage nikalne ko dil karta hai
saari duniya ko nazarandaaz karne ko dil karta hai
har kisi ki aankho se ojhal hone ko dil karta hai
duniya ki har tehzeeb se pare chalne ko dil karta hai
tab na shabdo mai wajah hoti hai na likhne ki shailee ka koi hisaab
bus  bewajah behisaab likhne ko dil karta hai

Thursday, July 21, 2011

kimat apni zindgi se chuka denge hum

ek dafa kehke to dekhe woh apni saari duniya luta denge hum
us ek pyare se rishte ki kimat apni ja se chuka denge hum
bus fariyaad itni hai wo apni yaado mai panah de de
uski panah mai apna ashiyana basa lenge hum

Saturday, May 21, 2011

unki khushiyo k khatir........................

unke har gum ko apna bana lenge hum
dil kya apni sari duniya unpe luta denge hum
or ek baar baya karke dekhe wo
khuda kasam unki khushiyo k khatir
unko hi zindgi se bhula denge hum

Thursday, April 28, 2011

.........................

A khuda na kar reham itna hum par
ki tere bande teri bandgi  chod de.....2


humara kya hai hum to kaffir hai zamane se

Tuesday, April 19, 2011

HAR DAFA KHUDKO THAGA PAYA HUMNE

Rah chalte ko apna banaya humne
Har kisi ka bharosa paya humne.

Or jab baat ayi apno k bharose ki
To har dafa kudko thaga paya humne.............

Saturday, April 16, 2011

so never take decision too quickly

unki raho ko humne apna thikana bana liya
unki adao ko jeene ka bahana bana liya
har roz didar ko unke afsana bana liya

unki raho ko humne apna thikana bana liya............

or jab hui unse mulakaat to pata chala
unko bhi kisi or ne apna diwana bana diya

Thursday, April 14, 2011

SALIL @ india

khoul utha lahu abb shree anna hajare ka
wakt a gaya in bhrastachriyo se takrane ka
kher nahi abb unki jo chipke hai kursi par
ajj hum khade ho jaye jo unki chati (jantar mantar) par

Saturday, April 09, 2011

jo socha likh diya pata nahi kya hai

Hum unki yado mai kuch is tarah kho gaye
kab the jaage jaane kab so gaye...2
sote hi khwabo mai unke kuch is taraha  mashgool (busy) ho gaye...2
ki neend se jaage or haqiqat ko khwab samajke phir hum so gaye

Tuesday, February 01, 2011

FIRST BETRAY

Wo pehli chot bhulayi nahi jati
kisi dusre ki us jaisi tasveer banai nahi jati
abb lakh chahe zamana hame
par wo pehli chahat bhulai nahi jati

Sunday, January 30, 2011

JO HOTI HAR ROZ MULAKAAT...........

Har rah mulakat nahi hoti
Har mulakat  mai baat nahi hoti
Har bat mai wo baat nahi hoti
Or jo hoti unse har roz mulakaat
To shayad unse milne mai bhi wo baat nahi hoti

Saturday, January 29, 2011

THE REAL SUCCESS


Kwahish a assma rehti hai sabhi ko
par jo chulle to baat or hai
Chahat a kushi rehti hai sabhi ko
par jo paale to baat or hai
Or chute hazaro hai assma
par jo, do apni zami na bhule to baat or hai

Saturday, January 22, 2011

In search of someone seen before

Har chehre mai us chehre ki talash rehti hai
Wo mile har rah bus yahi aas rehti hai
Lakh chaha bhulade unki yado ko zindgi se
Par jindi unki yado k bin kuch udaas rehti hai.