Saturday, January 25, 2014

Bewajaah(revised)

kabhi kabhi bewajaah behisaab likhne ko dil karta hai
jaani pehchaani raho pe anjano sa chalne ko dil karta hai
bheedh mai bhi bepanaah tanaah rehne ko dil karta hai
saare aakash ko ankho mai bharne ko dil karta hai
jin raho pe chal rahe ho unse bhi aage nikale ko dil karta hai
saari duniya ko nazarandaaz karne ko dil karta hai
har kisi ki aankho se ojhal hone ko dil karta hai
duniya ki har tehzeeb se pare chalne ko dil karta hai
tab parwat ki unchaai ,sagar ki gehraai sab kam  lagte hai
tab sat samamdaar ki doori bhi pal bhar ka safar lagta hai
man bhi bandhe dhaage sa thehar jata hai
tab bus shabdo ki gehrai hi sabse gehri lagti hai 
tab na shabdo mai wajah hoti hai na likhne ki shailee ka koi hisaab
bus  bewajah behisaab likhne ko dil karta ha.

No comments:

Post a Comment