Friday, December 12, 2014

Abke bEHKA tO Kya BehKA..............ABKE beEhKA to KyA BEHka

"Abke bahka to kya bahka" - "Abke bahka to kya bahka ",,,,,,jaane yeh kya uska asar hai.
"Ab to meh ka" - "Ab to meh ka" jaam bhi pheeka,,,,,,jaane yeh kaisa uska zehar hai.
zehar...........
"zehar zamane kaa" - "zehar zamane kaa",,,,,maarta hai ek bar or phana karta hai.
"Par yeh kaisa uska asar" - "Par yeh kaisa uska asar" marta hai baar baar zinda karta hai.

"Bus mamla itna hi hota to basar kar bhi lete.
Na hota deedaar pehar do pehar to sabar kar bhi lete" -
"Bus mamla itna hi hota to basar kar bhi lete.
Na hota deedaar pehar do pehar to sabar kar bhi lete".

"Un jhooki palkon ka kya hai israar tha yeh wahi jaane" -
"Un jhooki palkon ka kya hai israar tha yeh wahi jaane".

Jo jhaank lete ek baar to shayad izhaar kar bhi dete.

Friday, June 20, 2014

ISHQ-E-VATAN

JO ishq-e-vatan na hua to jawani kis kaam ki
JO LAHU na khaule tauheen-e-vatan par
TO beh jane do nadiya us Lahu bekaam ki

Sunday, March 30, 2014

ashk

Likhne ka shouk to kabhi na tha mujhe
Bus mere ashk hi lafzo ko batorte rahe
Or jo dikha duniya ko to mai shayar tha
Mere ashkon ko wo mera hunar mante rahe

Saturday, March 15, 2014

rangeen diware

Andhere kamre mai jhaakti , rangeen si dikhti wo rangeen diware
Jaise thak si gayi ho duniya ki najron se , rangeen si dikhti wo rangeen diware
Jaise khud mai hi kho jane ko raah dhudti ho , rangeen si dikhti wo rangeen diware
Jaise Khule aasma ki chawo se khojti wo andhere galiyare
Kya wakeyi hongi rangeen , rangeen si dikhti ye rangeen diware
Andhere kamre mai jhaakti ,rangeen si dikhti wo rangeen diware

Tairne ka shauk nahi

Tairne ka shouk nahi hame e bekhabar 
Bus uski nigaho mai dubne se aaj bhi darte hai.

Yu khule aam

Yu khule aam na poocha karo unka naam
To kya hua wo wafa adayi na kar sake
Par ajj bhi hum unko tawajjon diya karte hai

Wednesday, February 19, 2014

Contradicting the definations of Ishk-Wishk

Ishk ek-dooje ke sath rehte kuch sikhaye na sikhaye  ai-rakib
Par bichadte hi azad pancchi sa ehsaas dila deta hai.

Saturday, January 25, 2014

Bewajaah(revised)

kabhi kabhi bewajaah behisaab likhne ko dil karta hai
jaani pehchaani raho pe anjano sa chalne ko dil karta hai
bheedh mai bhi bepanaah tanaah rehne ko dil karta hai
saare aakash ko ankho mai bharne ko dil karta hai
jin raho pe chal rahe ho unse bhi aage nikale ko dil karta hai
saari duniya ko nazarandaaz karne ko dil karta hai
har kisi ki aankho se ojhal hone ko dil karta hai
duniya ki har tehzeeb se pare chalne ko dil karta hai
tab parwat ki unchaai ,sagar ki gehraai sab kam  lagte hai
tab sat samamdaar ki doori bhi pal bhar ka safar lagta hai
man bhi bandhe dhaage sa thehar jata hai
tab bus shabdo ki gehrai hi sabse gehri lagti hai 
tab na shabdo mai wajah hoti hai na likhne ki shailee ka koi hisaab
bus  bewajah behisaab likhne ko dil karta ha.

Ishq

Bin parkhe hi ishq ko bimari samajh baithe the,
Par jab kiya, to bus tabahi dekh lee.