Saturday, July 22, 2017

Tafdeesh barabar ho

Tafdeesh barabar ho, Is baat ka khayaal rakhiye,
Bus apki nazar ho, Baki sab nasha darkinaar rakhiye,
Raza ho, To nacheez ke liye ishara kafi hai,
Jo ek dafa waqt nikla, To Zindgi bhar phir dil mai simetkar apni muraad rakhiye.



Mazhab-e-Ishq

Aksar, Ishk se uska mazhab puchte rahe wo
Abb ye ishq ki nadaani hi to hai,
Mazhab kya hota hai, bus yahi baar-baar puchta raha wo

EK AZAAD PANCHI

Jo inkaar kare usse cheen kar hasil karo,
Jo maan jaye usse pyar ka sauda karo,
Kya kaum kya mazhab, Na mane to har ek ko zami me mila kar lo,
Aurat ho koi KHAREEDI HUI CHEEZ nahi,
Insaniyat se na mile HAK, insan ki tarah jeene ka,
To phir inquilaab ki aag se in mazhabo ko jalakar lo..

Jaane kya to badla hai, Abb pehle jaisi baat nahi hai.

Wakt Bahut hai soch kar, Sabre kar baithe the,
Ki abb lagta hai, Siyayi wo rangeen wali khatm ho chali hai,
Wo khidki bhi abb nazar nahi ati in band deewaro mai,
Jisse dikhta tha neela asma or chehakte panchi,
Hawa bhi kuch badli si lagti hai,
Kuch kehti hi nahi hai, Na hi muje jeene ka aihsaas deti hai,
Dhoop ki chubhan bhi, Abb kuch khas yaad nahi hai,
Jaane kya to badla hai, Abb pehle jaisi baat nahi hai.