Sunday, September 06, 2015

Teacher's Day Special.

तुमको सूचित हो,
 एक बीज  जो माटी  की  गोद  मै  तुमने संजोया था कभी,
वो अब अंकुरित हो चला है |
तुमने जिसे अपने स्नेह की खाद दी, जिसे तुमने अपनी डाँट से दिशा दी,
वो अब अंकुरित हो चला है |
तुम्हे अभिमान हो,
की उन्ही नन्ही आँखों से, आज वो आकाश की उंचाईयों को टटोल रहा है |
तुम्हारे विशवास को अपनी सफलताओं के परचम से तौल रहा है |
ये  तुम्हारे ही ज्ञान का पृकाश  है उसमे, जो सूरज सा है विश्र्व को रौशन किये हुए |
इसलीए इस शिक्षक दिवस के अवसर पर है वह तुम्हारे चरणो मे नतमस्तक किये हुए |


Tumko Suchit ho, Ek beej jo mati ki godh mai tumne sanjoya tha kabhi,
Wo abb ankurit ho chala hai
Tumne jise apne sneh ki khaad di, Jise tumne apni daant se disha di
wo abb ankurit ho chala hai
Tumhe abhimaan ho,
ki unhi nanhi ankho se, ajj wo akash ki unchayiyo ko tatol raha hai.
tumhare vishvaas ko apni safaltayo ke parcham se taul raha hai.
Ye tumhara hi gyan ka prakash hai usme, jo suraj sa hai visv ko roushan kiye hue.
Isliliye is shikchak diwas ke avsar par hai veh tumhare charno mai natmastak kiye hue.



Saturday, August 29, 2015

Rakhi-Special

Rakhi ke mol ko kya chukaunga mai behen
Tere pyaar ko kya toul paunga mai behen
Mera ladna sirf tujhe apna ahsaas dilana tha
Ladne ke bahane,  mujhe tujhpe apna haq jo jatana tha
Par mujhpe tera haq mai tujhe ajj zindgi bhar ka deta hoon
Or is dhage ke barabar to kuch nahi mere paas
Par teri aan ki surakha ko mai ajj  tujhe bachan daan deta hoon


Sunday, June 07, 2015

Mazhab

Zahreele saanp or Mazhab ki jhooti samajh ki taaseer ek hoti hai
Ek marta hai insaan aag deta hai, to dooja marta hai insaniyat aag deta hai.